aksar tum par bahut gussa aata hai mujhe, lagta hai ke zindagi ke liye tumhari soch bas ek mazak si hai, jo hai abhi hai baas, aare kal ke liye bhi socho na jara, hamesha muskurate ho, koi tanav ki lakir nahi mathe par, tumhara kaam alag hai, ghar baithe laptop par ho jata hai, par hum logon ko tho dusron ki zindagi sambhalni padti hai, hum par dusron ki zindagi ko bachana, maut ko harana aur us sab ke bich khud ko sambhalna hota hai, na din ka aur na hi raat ka sukoon, operation theater mein wahi wahi hara rang aur kabhi behta laal lahu ka rang bas zindagi itane mein hi simmat gayi ho jaise,
aur dil ka gubbara bharta jata hai, aur phir phat se phut jata hai tumhare samne, par jab 2 din lagatar hospital mein kaam karne ke baad ghar par aana hota hai, tum khade hote ho na darwaze par, meri raah takte, wo tumhare haathon ki chai, aloo ki sabzi aur roti, dekh kar yaad aata hai, aare shayad do din se maine khana nahi khaya tha, aur jab pyar ke nivalon se mann bhar jata hai, phir lagta hai, kyun gussa karti hun main tum par, tum tho wo kinara ho , jo mujh mein uchalti leheron ko sahara dete ho, , aur mann hi mann mein tumse mafi mang leti hun, kehne ko dil karta hai ke tumhe dhanyawad dun, par shayad kahi mera ego bich mein aa jata hai, par phir bhi tum muskurate ho, aur hamari zindagi chalti hai yuhi roz roz…………. …… aur tumhari muskan ki tokriyon se kuch muskurahatein udhar lekar main phir nikal padti hun………