ek mod par zindagi tere

meri pyari, khubsurat si zindagi

shayad aaj waqt tera hai

maana ke mera mann hara hai

phir se tune patjhad ki raah dikhayi

phir se pairon tale tapti dhoop bhikrayi

khwabon ke aashiyaan mein chal rahi thi main

zatke se aakar meri nind udayi

par tumse naraz nahi hun main

shukriya kahun ke tumne haqiqat ki raah dikhlayi

patjhad ke bhi apne khubsurat rang hote hai,

wo bhi hame zindagi ke tajorbe se bhigote hai

phir barsaat hogi ,apne saath sab gum le jayegi

chalti chalungi main, haste huye , kadam badhaye

ek mod par zindagi tere

phir hariyali chayegi…

tu khud mere liye hamnashi

phoolon ki bahare le aayegi………..

टिप्पणी करे