zindagi ke kanchon ka khel
phir uchhle kanche rangin
phir tera nishana pakka
phir meri bazi aadhuri
jeet kar bhi sab kuch dena
teri issi ada par fida hum
har roz dil na jane kyun
intazaar karta hai teri bazi ka……….
=============================
bachpan mein khele kanchon ki yaad aa gayi aaj , mitti mein gadda banakar doston sung khelna, rangin kanchon ke liye jhagda karna , sab se bada kancha jeet ne ke liye shart lagana……. aaj tak sambhal rakhe hai un yaadon ke rangin kanche :)………..kuch lamhein bar baar jeene ka moh mann ko lubhata rehta hai, iss vyast zindagi mein bhi……..
टिप्पणी करे