Behak gaya mann

Behek gaya mann , tera kesariya rang

jhulti hun main, teri har dali sang

chanchal teri adayein,

grishm mein phool barsaye

teri bhi aadat mujh jaisi

manbhavan ko rijhaye

jab kabhi wo ruth jaye.

 

phir phoolon sa uska muskurana

aur pyar se ruksat hona

kal milne ka wada dekar

mere  galon par uske  labon ka ruk jana

lehera ke tera khilkhilana

meri dhadkano ka tez hona

 

un natkhat yaadon ko sametne

gulmohar phir aayi hun

dobara wo lamhein jeene

apna dil sang layi hun….

 

2 टिप्पणियां

  1. Rewa Smriti said,

    अप्रैल 30, 2018 at 5:50 पूर्वाह्न

    Ahha… gulmohar fir aai hun.


टिप्पणी करे